हैसियत पूछते हैं Haisiyat Poochte Hain Lyrics

हैसियत पूछते हैं Haisiyat Poochte Hain Lyrics Lyrics

“Haisiyat Poochte Hain” Song Details:

Label: Tony Kakkar
Singer(s): Tony Kakkar
Lyricist(s): Tony Kakkar
Music Director(s): Tony Kakkar
Genre(s): Playful
Music Label: © Tony Kakkar

Haisiyat Poochte Hain Sabhi
Is Sheher Mein
Haal Poochta Nahi Koi

Jeb Dekhte Sabhi
Is Seher Mein
Dil Dekhta Nahi Koi

Akela Hoon Seher Mein
Mera Koi Nahi Hai
Raaton Mein Jaga Hoon
Ankhein Soyi Nahi Hai

Jiske Liye Sab Chhod Aaye Hain
Wo Hona Chahiye Sang Wo Hi Nahi Hai


Kapde Hai Kitabe Hain
Aur Thoda Sa Saman Hai
Ghar Nahi Hai Yeh Mera
Bas Ik Makan Hai

Wapas Aaja Keh Ke
Maa To Ro Hi Rahi Hai
Log Hain Seher Mein
Insaan Koi Nahi Hai

Jisam Mangte Hain Sabhi
Is Seher Mein
Haath Mangta Nahi Koi

Haisiyat Poochte Hain Sabhi
Is Sheher Mein
Haal Poochta Nahi Koi

Na Batein Krna Raaton Ki
Na Dil Ki Na Jazbaton Ki
Marte Hain Husn Wale Sab Jab
Jab Paiso Ki Barsat Hoti

Paisa Hai Ya Koi Jaadu
Paise Mein Karamat Hoti
Jiske Sang Paisa Rehta Hai
Duniya Uske Sath Hoti

Surat Dekhte Hain Sabhi
Is Seher Mein
Sirat Dekhta Nahi

Haisiyat Poochte Hain Sabhi
Is Sheher Mein
Haal Poochta Nahi Koi

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top