Nukta Cheen Hai Gham E Dil Lyrics

Nukta Cheen Hai Gham E Dil Lyrics Lyrics

“Nukta Cheen Hai Gham E Dil” Song Details:

Movie: Mirza Ghalib (1954)
Singer(s): Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)
Lyricist(s): Mirza Ghalib
Composer(s): Ghulam Mohammad
Music Director(s): Ghulam Mohammad
Genre(s): Love
Director(s): Sohrab Modi
Music Label: © Saregama
Starring: Bharat Bhushan, Suraiya, Nigar Sultana, Durga Khote, Murad, Mukri, Ulhas, Kumkum, Iftekhar

Aa aa aa

Nukta cheen hai gham e dil
Usako sunaye na bane
Usako sunaye na bane
Kyaa bane baat jahaan
Baat banaye na bane
Nukta cheen hai gham e dil

Gair phirata hai liye yun
Tere khat ko ke agar
Koi puchhe ke ye kyaa hai to
Chhupaye na bane
Nukta cheen hai gham e dil

Mai bulata to hun usako
Magar ai jazba-e-dil
Us pe ban jaaye kuchh
Aisi ki bin aaye na bane
Us pe ban jaaye kuchh
Aisi ki bin aaye na bane
Nukta cheen hai gham e dil

Ishq par zor nahi hai ye
Wo aatish gaalib
Ishq par zor nahi hai ye
Wo aatish gaalib
Ki lagaaye na lage aur
Bujhaye na bane
Nukta cheen hai gham e dil
Usako sunaye na bane.


Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top