“Aye Ishq Hame Barbad Na Kar” Song Details:
| Movie: | Naach (1949) |
| Singer(s): | Mohammed Rafi, Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya) |
| Lyricist(s): | Sarshar Sailani |
| Composer(s): | Bhagatram Batish, Husnlal Batish |
| Music Director(s): | Bhagatram Batish, Husnlal Batish |
| Genre(s): | Sad |
| Director(s): | Ravindra Dave |
| Music Label: | © Saregama |
| Starring: | Shyam Kumar, Suraiya, Omprakash, Shayama Gulam, Shyama, Raj Mehra, Gulab, Sofia |
Sine mein aag dhadkti hai
Aankho se pani bahta hai
Kuch aisi chot lagi dil par
Dil ro ro kar ye kahta hai
Aye ishq hume barbad na kar
Aye ishq hume barbad na kar
Aye ishq hume barbad na kar
Aye ishq hume barbad na kar
Dil tod ke mann ka meet gaya
Hum har gaye gham jeet gaya
Khushiyo ka zamana beet gaya
Khushiyo ka zamana yaad na kar
Aye ishq hume barbad na kar
Aye ishq hume barbad na kar
Kyun rote hai do deewane
Bedard zamana kya jane
Bedard zamane se aye dil
Ummeed na rakh fariyad na kar
Aye ishq hume barbad na kar
Aye ishq hume barbad na kar
Pahle to kapas mein qaid kiya
Shayad ne phir ye hukm diya
Hotho ko see ashko ko pee
Aasu na baha fariyad na kar
Aye ishq hume barbad na kar
Aye ishq hume barbad na kar
Aye ishq hume barbad na kar
Aye ishq hume barbad na kar.


