Ae Hawa Kuch To Bata Lyrics

Ae Hawa Kuch To Bata Lyrics Lyrics

“Ae Hawa Kuch To Bata” Song Details:

Movie: Maachis
Singer(s): Lata Mangeshkar
Lyricist(s): Gulzar
Composer(s): Vishal Bhardwaj
Music Director(s): Vishal Bhardwaj
Genre(s): Sad
Director(s): Gulzar
Music Label: © Pan Music
Starring: Chandrachur Singh, Tabu, Kanwaljit Singh, Rajendranath Zutshi, Jimmy Shergill, Om Puri, Suneel Sinha
Release on: 25th October, 1996

Ae aa ha, aa ha,aa ha
Ae aa ha, aa ha, aa ha
Ae aa ha, aa ha
Ae aa ha aa ha
Ae hawa, Ae hawa
kuch to bata jaane waalon ka pata
Ae hawa, Ae hawa
kuch to bata jaane waalon ka pata
Ae hawa
kuch to bata jaane waalon ka pata
Kaali ghataaon tum chhooke pahaadon ko
Laut aana haan tum laut aana
Ae aa ha ae aa aa

Jungle se jaati pagdandiyon pe
Jungle se jaati pagdandiyon pe
Dekho to shaayad paaon pade ho
Kohre ki doodhiya thandi gufa mein
Baadal pehenke shayad khade ho
Hole se kaanon mein mera kaha kehna
Laut aana haan tum laut aana
Ae aa ha, ae aa aa

Bujhne laga hai jheelon ka paani
Bujhne laga hai jheelon ka paani
Ghulne laga hai shaam ka soona
Kahan se thaamoon raat ki chaadar
Kahan se pakdoon dhoop ka kona
Jaaiyo paas unke mera kaha kehna
Laut aana haan tum laut aana
Ae aa aa, ae aa aa
Ae hawa kuch to bata jaane waalon ka pata
Kaali ghataaon tum chhooke pahaadon ko
Laut aana haan tum laut aana
haan tum laut aana
Laut aana, laut aana, laut aana.

 

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top