Jab Pyar Nahin Hai Lyrics

Jab Pyar Nahin Hai Lyrics Lyrics

“Jab Pyar Nahin Hai” Song Details:

Album/Label: Rahnuma (1995)
Singer(s): Ahmed Hussain, Mohammed Hussain
Lyricist(s): Hasrat Jaipuri
Composer(s): Ahmed Hussain, Mohammed Hussain
Music Director(s): Ahmed Hussain, Mohammed Hussain
Genre(s): Ghazal
Music Label: © Decca Label Group
Starring: Ustad Ahmed Hussain, Ustad Mohammed Hussain
Release on: 19th April, 1995

Jab pyar nahi hai toh bhula kyun nahi dete
Jab pyaar nahi hai toh bhula kyun nahi dete
Khat kisliye raakhe hain jala kyun nahi dete

Kis waaste likkha hai hateli pe mera naam

Mein harfe ghalat hoon
Toh mita kyun nahi dete
Mein harfe ghalat hoon
Toh mita kyun nahi dete
Khat kisliye raakhe hain jala kyun nahi dete

Jab pyaar nahi hai toh bhula kyun nahi dete

Lillah shabo roz ki uljhan se nikaalo
Lillah shabo roz ki uljhan se nikaalo
Tum mere nahi ho toh bata kyun nahi dete
Tum mere nahi ho toh bata kyun nahi dete
Khat kisliye raakhe hain jala kyun nahi dete

Jab pyaar nahi hai toh bhula kyun nahi dete

Reh reh ke na tadpaao
Aye bedard maseehaa
Reh reh ke na tadpaao
Aye bedard maseehaa
Haathon se mujhe zeher pila kyun nahi dete
Haathon se mujhe zeher pila kyun nahi dete
Khat kisliye raakhe hain jala kyun nahi dete

Jab pyaar nahi hai toh bhula kyun nahi dete

Jab iski wafaaon pe yakeen tumko nahi hai

Hasrat ko nigaahon se gira kyun nahi dete
Hasrat ko nigaahon se gira kyun nahi dete
Khat kisliye raakhe hain jala kyun nahi dete

Jab pyaar nahi hai toh bhula kyun nahi dete
Jab pyaar nahi hai toh bhula kyun nahi dete.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top