“Mere Seene Ki Betaabiyaan” Song Details:
| Movie: | Mission: The Last War |
| Singer(s): | Kavita Krishnamurthy |
| Lyricist(s): | M.S. Parvez, Usman Bastavi |
| Composer(s): | Mohammed Zahur Khayyam |
| Music Director(s): | Mohammed Zahur Khayyam |
| Genre(s): | Classical |
| Director(s): | Hayat Asif |
| Music Label: | © Sun Audio |
| Starring: | Nirmal Pandey, Aruna Irani, Raza Murad, Amrish Puri, Suchi Kumar, Yunus Parvez, Shanti Priya, Roshni, Vikas Anand, Dilshad |
| Release on: | 25th July, 2008 |
Aa aa aa………
Mere seene ki betaabiyon ka, meri aankhon ki bekhaabiyon ka
Ae hawa, ae hawa unako paigaam dena, paigaam dena
Ae hawa unako paigaam dena, paigaam dena
Woh mere, haan woh mere pyaar ki odhani mein
Chhupake baithe hai
Chhupake baithe hai yuun bandagi main
Ae hawa, ae hawa, ae hawa, ae hawa….
Ae hawa unake kadamon ko chhuke
Mere sajado ka inaam dena inaam dena
Mere sajado ka inaam dena, inaam dena
Ae hawa unako paigaam dena, paigaam dena
Koi chupake se le aaya baadal,
Saj gaya meri aankhon mein kaajal
Koi chupake se le aaya baadal,
Saj gaya meri aankhon mein kaajal
Ae hawa, ae hawa, ae hawa, ae hawa….
Ae hawa unaki raaton ko chhuke,
Nindein lutane ka iljaam dena iljaam dena
Nindein lutane ka iljaam dena, iljaam dena
Ae hawa unako paigaam dena, paigaam dena
Dil mera haan dil mera maahtaabi huwa hai
Jab se mausam, haay jab se mausam sharaabi huwa hai
Ae hawa, ae hawa, ae hawa, ae hawa….
Ae hawa unaki honton ko chhuke,
Mere honton ka ek jaam dena ek jaam dena
Mere honton ka ek jaam dena, ek jaam dena
Ae hawa unako paigaam dena, paigaam dena
Ae hawa unako paigaam dena, paigaam dena
Ae hawa unako paigaam dena, paigaam dena.


