कुछ बातें Kuch Baatein Lyrics

कुछ बातें Kuch Baatein Lyrics Lyrics

“Kuch Baatein” Song Details:

Label: T-Series
Singer(s): Payal Dev, Jubin Nautiyal
Lyricist(s): Kunaal Vermaa
Music Director(s): Payal Dev
Genre(s): Love
Music Label: © T-Series
Starring: Gurmeet Choudhary, Payal Dev, Musskan Sethi, Sana Khan

Maana hum yaha hai
Dil magar wahan hai
Badi door humse
Humsafar mera hai

Banke hawa aa bhi jaaun main lekin
Nahi janti uske dil mein hai kya

Kuch baatein hai kehni unse
Chah ke bhi nahi keh paate hai
Jo mere dil mein hai uske hai ya nahi
Soch kar har dafa ghabrate hai

Kuch baatein hai kehni unse
Chah ke bhi nahi keh paate hai


Sath tera humein har kadam chahiye
Zindagi mein humein sirf tum chahiye
Isse jyada humein kuch nahi chahiye
Aarzoo hai yahi mere ban jaaiye

Tumhe maante hai khuda se bhi jyada
Humari nazar se kabhi dekhna

Kuch baatein hai kehni unse
Chah ke bhi nahi keh paate hai
Jo mere dil mein hai uske hai ya nahi
Soch kar har dafa ghabrate hai

Sham wo aakhri yaad hai aaj bhi
Hoke hum tum juda phir mile na kabhi
Dil ye kehta raha roklo tum humein
Tumne jaate hue kuch kaha hi nahi

Ankho mein nahi ek aanshu magar
Dil mein kitni barsaate hai
Jaa rahe hai sanam mehfilon se teri
Pyar tera yahi chhod jaate hai

Ye dobaara kabhi ankh mein na chubhe
Khwab tere sabhi tod jaate hai

Kuch baatein hai kehni unse
Chah ke bhi nahi keh paate hai
Jo mere dil mein hai uske hai ya nahi
Soch kar har dafa ghabrate hai.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top