जीने की वजह Jeeney Ki Wajah Lyrics

जीने की वजह Jeeney Ki Wajah Lyrics Lyrics

“Jeeney Ki Wajah” Song Details:

Label: Zee Music Company
Singer(s): Javed Ali, Laiba Ahmed Mahloof
Lyricist(s): Husna Khan
Music Director(s): Liyakat Ajmeri
Genre(s): Love
Music Label: © Zee Music Company
Starring: Feroz.A.Khan, Laiba Ahmed Mahloof

Tu hi mere jeeney ki wajah hai
Tu hi meri khushiyon ka jahan hai
Tu hi mere ehsaas mein shamil
Tu hi meri dhadkan ki jabaan hai

Meri saason ki zami par
Teri chahat ke nishaan hai
Tere hothon ki hasi mein
Mere hone ka pata hai

Tu hi dil hai mera
Tu hi jahan hai
Teri mohabbat ke siva
Mujh mein kya hai

Ek dariya ki laher hum
Ek rookh hai ek kinara
Aur bhanwar ke gehre pan se
Khub hai nata hamara

Teri himmat se rava hai
Meri aasha ki dhaara
Mera chanda mera suraj
Meri aankhon ka taara

Meri raaton ki tu
Ye subah hai
Teri mohabbat ke siva
Mujh mein kya hai

Zindagi tu zindagi hai
Sikh bhi talim bhi hai
Ajnabi rishton ki aksar
Kardi to tajim bhi hai ye

Ye safar hi safar mein
Do hum safar jod de
Tanhaai ka ghera
Ek pal mein tod de

Ye dua bhi hai ye hai dawa hai
Teri mohabbat ke siva
Mujh mein kya hai

Teri mohabbat ke siva
Mujh mein kya hai.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top