पैसा बोलता है Paisa Bolta Hay Lyrics

पैसा बोलता है Paisa Bolta Hay Lyrics Lyrics

“Paisa Bolta Hay” Song Details:

Label: Sufiscore
Singer(s): Hadiqa Kiani
Lyricist(s): Sail Azad
Music Director(s): Sabri Brothers, Hadiqa Kiani
Genre(s): Playful
Music Label: © Sufiscore

Inhi Chandni Ke Chamakte Hue Angaaron Mein
Cheekh Uthti Hai Jawani Inhi Jhankaron Mein

Zar Ke Bandon Ne Bada Shor Macha Rakha Hai
Sone Chandi Ka Yahaan Jaan Bicha Rakha Hai

Baat Gairat Ki Agar Aaye Toh Yun Taal Diya
Sharm Ki Laash Pe Daulat Ka Kafan Daal Diya

Sansaar Mein Baaje Dhol
Sansaar Mein Baaje Dhol
Yeh Duniya Meri Tarah Hai Gol
Ke Paisa Bolta Hay
Ke Paisa Bolta Hay


Yeh Paisa Bolta Hay
Yeh Paisa Bolta Hay

Sansaar Mein Baaje Bol
Yeh Duniya Meri Tarah Hai Gol
Ke Paisa Bolta Hay
Ke Paisa Bolta Hay

Yeh Paisa Bolta Hay
Yeh Paisa Bolta Hay

Dil Leke Mera Haath Mein
Kehte Hain Mujhse Woh
Dil Leke Mera Haath Mein
Kehte Hain Mujhse Woh

Kya Loge Iske Daam?
Kya Loge Iske Daam?
Bataa Na Sahi Sahi
Ke Paisa Bolta Hay
Ke Paisa Bolta Hay

Yeh Paisa Bolta Hay
Yeh Paisa Bolta Hay

Main Aapas Mein Larwta Hoon
Main Aapas Mein Larwta Hoon
Lalach Mein Gala Katvata Hoon
Lalach Mein Gala Katvata Hoon

Jahaan Mera Saaya Lehraaye
Mera Saaya Lehraaye
Kasturi Khoon Main Chhup Jaaye
Kasturi Khoon Main Chhup Jaaye
Kasturi Khoon Main Chhup Jaaye
Kasturi Khoon Main Chhup Jaaye

Main Keh Deta Hoon Saaf
Main Keh Deta Hoon Saaf
Mere Haathon Mein Hai Insaaf
Ke Paisa Bolta Hay
Ke Paisa Bolta Hay

Yeh Paisa Bolta Hay
Yeh Paisa Bolta Hay
Yeh Paisa Bolta Hay
Yeh Paisa Bolta Hay

Aap Jab Tak Ke Zar Lutayenge
Aapke Zer E Dast Hai Duniya
Kheench Kar Haath Tajurba Kar Lo
Kitni Matlab-parast Hai Duniya
Kitni Matlab-parast Hai Duniya

Jab Leader Main Ban Jaata Hoon
Jab Leader Main Ban Jaata Hoon
Chakkar Mein Qaum Ko Laata Hoon
Chakkar Mein Qaum Ko Laata Hoon

Phir Aisa Jaal Bichata Hoon
Phir Aisa Jaal Bichata Hoon
Phir Mann Ki Muraaden Paata Hoon
Phir Mann Ki Muraaden Paata Hoon
Phir Mann Ki Muraaden Paata Hoon
Phir Mann Ki Muraaden Paata Hoon

Main Jis Pe Laga Doon Note
Main Jis Pe Laga Doon Note
Na Baahar Jaaye Uska Vote
Ke Paisa Bolta Hay
Ke Paisa Bolta Hay

Yeh Paisa Bolta Hay
Yeh Paisa Bolta Hay
Ke Paisa Bolta Hay
Ke Paisa Bolta Hay

Ke Paisa Bolta Hay
Ke Paisa Bolta Hay

Samajh Samajh Ke Samajh Ke Samjho
Samajh Samajh Ke Samajh Ke Samjho
Samajh Samajhna Bhi Samajh Hai
Samajh Samajhna Bhi Samajh Hai

Samajh Samajh Ke Bhi Jo Na Samjhe
Samajh Samajh Ke Bhi Jo Na Samjhe
Meri Samajh Mein Woh Na Samajh Hai
Meri Samajh Mein Woh Na Samajh Hai
Meri Samajh Mein Woh Na Samajh Hai
Meri Samajh Mein Woh Na Samajh Hai

Ke Paisa Bolta Hay
Ke Paisa Bolta Hay
Yeh Paisa Bolta Hay
Yeh Paisa Bolta Hay

Ke Paisa Bolta Hai
Ke Paisa Bolta Hai

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top