Jeena Yahan Marna Yahan Lyrics

Jeena Yahan Marna Yahan Lyrics Lyrics

“Jeena Yahan Marna Yahan” Song Details:

Movie: Mera Naam Joker
Singer(s): Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lyricist(s): Shailendra (Shankardas Kesarilal)
Composer(s): Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Director(s): Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Genre(s): Sad
Director(s): Raj Kapoor
Music Label: © Saregama
Starring: Raj Kapoor, Simi Garewal, Manoj Kumar, Rishi Kapoor, Dharmendra, Dara Singh, Kseniya Ryabinkina, Padmini, Rajendra Kumar
Release on: 18th December, 1970

Jeena yahan marna yahan
Iske siva jaana kahan
Jeena yahan marna yahan
Iske siva jaana kahan
Ji chahe jab humko awaaz do
Hum hain wahin hum thhe jahan
Apne yahin dono jahan
Iske siva jana kahan

Yeh mera geet jeevan sangeet
Kal bhi koi dohrayega
Yeh mera geet jeevan sangeet
Kal bhi koi dohrayega
Jag ko hasane bahrupiya
Roop badal phir aayega
Swarg yahin nark yahan
Iske siva jana kahan
Ji chahe jab humko awaaz do
Hum hain wahin hum thhe jahan
Apne yahin dono jahan
Iske siva jana kahan

Kal khel mein hum ho na ho
Gardish mein taare rahenge sada
Kal khel mein hum ho na ho
Gardish mein taare rahenge sada
Bhoolenge hum bhoologe tum
Par hum tumhare rahenge sada
Rahenge yahin apne nishan
Iske siva jana kahan
Ji chahe jab humko awaaz do
Hum hain wahin hum thhe jahan
Apne yahin dono jahan
Iske siva jana kahan
Jeena yahan marna yahan
Iske siva jaana kahan.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top