Aakhri Alvida Lyrics

Aakhri Alvida Lyrics Lyrics

“Aakhri Alvida” Song Details:

Album/Label: Koi Aanay Wala Hai (2008)
Singer(s): Strings (Band)
Lyricist(s): Strings (Band)
Composer(s): Strings (Band)
Music Director(s): Strings (Band)
Music Label: © Sony BMG
Release on: 16th May, 2008

Dhadkanain khamosh hain
Kuch kehti nahin
Yeh aakhri alvida na ho
Chahatein aankhon se behti rahin
Yeh aakhri alvida na ho

Is dard ko dil main dil main rehnay do
Jo khauf hai aankhon say
Aankho say kehnay do
Dukh ki nadi chup chaap behnay do
Jo kehna hai tum dheeray say keh do
Yeh aakhri alvida na hooo
Aakhri alvida na ho
Dhadkanain khamosh hain
Kuch kehti nahin
Yeh aakhri alvida na ho

Sab yaad hain jo bandhay thay bandhan
Kajal bindiya haato main kangan
Mehki rehti thi mehndi
Gaata rehta tha sawan
In yaado ko sapno main rehnay do
Yeh aakhri alvida na hooo
Aakhri alvida na ho
Dhadkanain khamosh hain
Kuch kehti nahin
Yeh aakhri alvida na hooo

Chahatein aankhon say behti rahin
Yeh aakhri alvida na ho
Yeh aakhri alvida na ho.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top