Bada Mazedaar Hota Lyrics

Bada Mazedaar Hota Lyrics Lyrics

“Bada Mazedaar Hota” Song Details:

Movie: Chamkee (1952)
Singer(s): Shamshad Begum
Lyricist(s): Ramchandra Baryanji Dwivedi (Kavi Pradeep)
Composer(s): Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Music Director(s): Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Genre(s): Playful
Director(s): J.K. Nanda
Music Label: © Saregama
Starring: Shekhar, Ragini, Jeevan, Leela Mishra, Roopmala, Ulhas, Murad, Cuckoo, Shashikala

Soch samajh kar kheliyo lala
Tum aankhon ka khel
Arre baat baat mein ho jaata hai
Yahaan dilon ka mel

Bada mazedaar aaye haaye
Bada mazedaar hota
Pyaar babu pehli nazar ka
Bada mazedaar hota
Pyaar babu pehli nazar ka
Ye mat poochho
Ke kaisa waar hota pehli nazar ka
Mat poochho
Mat poochho
Mat poochho ae ji
Ye mat poochho
Ke kaisa waar hota pehli nazar ka
Waar hota pehli nazar ka
Bada mazedaar hota
Pyaar babu pehli nazar ka

Jab kisi ki natkhat ankhiyaan
Jab kisi ki natkhat ankhiyaan
Chalaati hain teer taq taq
Haaye chalaati hain teer taq taq
Bade bade dilwaalon ka
Bade bade dilwaalon ka bhi
Jiyaa karne lagtaa dhak dhak
Haaye jiyaa karne lagtaa dhak dhak
Ae ji ae ji babu ji bilkul
Bijli sa babu ji
Bilkul bijli sa
Chamatkaar hota pehli nazar ka
Waar hota pehli nazar ka
Bada mazedaar hota
Pyaar babu pehli nazar ka

Kisi ka dil lootne ko
Koi jagey saari saari ratiyaan
Koi kare meethi meethi batiyaan
Koi bheje pyaari pyaari patiyaan
Pyaari pyaari patiyaan
Meethi meethi batiyaan
Saari saari ratiyaan
Ho lekin fauran
Mil jata hai dil ko jhatpat
Mil jata hai dil ko
Taar babu pehli nazar ka
Taar babu pehli nazar ka
Bada mazedaar hota
Bada mazedaar hota
Bada mazedaar hota
Pyaar babu pehli nazar ka
Bada mazedaar hota
Pyaar babu pehli nazar ka.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top