Bechain Nazar Betaab Jigar Lyrics

Bechain Nazar Betaab Jigar Lyrics Lyrics

“Bechain Nazar Betaab Jigar” Song Details:

Movie: Yasmin (1955)
Singer(s): Talat Mahmood
Lyricist(s): Jan Nisar Akhtar
Composer(s): Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
Music Director(s): Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
Genre(s): Happy (Feel Good)
Director(s): A.R. Kardar
Music Label: © Saregama
Starring: Suresh, Vyjyantimala, Jayant, Rashid Khan, Shyam Kumar,Maruti, S.N.Bannerjee, Mumtaz, Rajan Haksar

Bechain nazar betaab jigar
Ye dil hai kisika deewana
Hay deewana
Bechain nazar betaab jigar
Ye dil hai kisika deewana
Hay deewana
Kab shaam ho aur wo shamma jale
Kab ud kar pahunche parwaana
Hay parwaana

Hai dil ka chaman khilne ke liye
Aayega koyi milne ke liye
Hai dil ka chaman khilne ke liye
Aayega koyi milne ke liye
Phoolon se kaho taaron se kaho
Phoolon se kaho taaron se kaho
Chupke se sajaa de
Veerana hai veerana

Jab raat zara shabnam se ghule
Laharayi huyi wo zulf khule
Jab raat zara shabnam se ghule
Laharaayi huyi wo zulf khule
Nazron se nazar ek bhed kahe
Nazron se nazar ek bhed kahe
Dil dil se kahe ek afsaana haay afsaana

Rangeen fizaa chhaaye to zara
Waade pe koyi aaye to zara
Rangeen fizaa chhaaye to zara
Waade pe koyi aaye to zara
Ai josh-e-wafa dil cheez hai kya
Ai josh-e-wafa dil cheez hai kya
Ham jaan bhi de de nazraana
Haay nazraana
Bechain nazar betaab jigar
Ye dil hai kisika deewana
Haay deewana.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top