Beech Bajariya Mori Chunariya Lyrics

Beech Bajariya Mori Chunariya Lyrics Lyrics

“Beech Bajariya Mori Chunariya” Song Details:

Movie: Khubsurat (1952)
Singer(s): Asha Bhosle
Lyricist(s): Shaukat Jaunpuri
Composer(s): Madan Mohan
Music Director(s): Madan Mohan
Genre(s): Playful
Director(s): S.F. Hasnain
Music Label: © Saregama
Starring: Nasir Khan, Suraiya, Jankidas, Yakub, Bhudo Advani, Baby Zubeida

Beech bajariyaa mori chunariyaa
Sar se sarki jaaye
Chunariyaa sar se sarki jaaye
Beech bajariyaa mori chunariyaa
Sar se sarki jaaye
Chunariyaa sar se sarki jaaye

Idhar sambhaaloon girey udhar se
Baabu ji goondon ke darr se
Idhar sambhaaloon girey udhar se
Baabu ji goondon ke darr se
Jiyaa moraa ghabraaye o baabu
Jiyaa moraa ghabraaye
Chunariyaa sar se sarki jaaye
Chunariyaa sar se sarki jaaye
Beech bajariyaa mori chunariyaa
Sar se sarki jaaye
Chunariyaa sar se sarki jaaye

Ghoonghat mein nainon ka jodaa
Gora gora mukhda mora
Ghoonghat mein nainon ka jodaa
Gora gora mukhda mora
Koi dekh na paaye o baabu
Koi dekh na paaye
Chunariyaa sar se sarki jaaye
Chunariyaa sar se sarki jaaye
Beech bajariyaa mori chunariyaa
Sar se sarki jaaye
Chunariyaa sar se sarki jaaye

Jisko dekhoon aage peechhe
Mo se chhed karey o baabu
Mo se chhed karey
Koi mera daaman kheenchey
Koi baanh dharey o baabu
Koi baanh dharey
Koi pukaare haaye
Koi pukaare haaye
Chunariyaa sar se sarki jaaye
Chunariyaa sar se sarki jaaye
Beech bajariyaa mori chunariyaa
Sar se sarki jaaye
Chunariyaa sar se sarki jaaye
Beech bajariyaa mori chunariyaa
Sar se sarki jaaye
Chunariyaa sar se sarki jaaye.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top