Chale Dil Ki Duniya Lyrics

Chale Dil Ki Duniya Lyrics Lyrics

“Chale Dil Ki Duniya” Song Details:

Movie: Dard
Singer(s): Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)
Lyricist(s): Shakeel Badayuni
Composer(s): Naushad Ali
Music Director(s): Naushad Ali
Genre(s): Sad
Director(s): Abdul Rashid Kardar
Music Label: © Saregama
Starring: Shyam Kumar, Nusrat, Munawar Sultana

Bahaar khatam hui, dil gaya khushi bhi gayi
Wo kya gaye ke mohabbat ki zindagi bhi gayi

Chale dil ki duniya jo barabad kar ke
Bahut royenge unko hum yaad kar ke
Chale dil ki duniya jo barabad kar ke
Bahut royenge unko hum yaad kar ke

Kisi tarah aata nahin chain dil ko
Na khamosh rah ke na fariyaad kar ke
Bahut royenge unko hum yaad kar ke
Chale dil ki duniya jo barabad kar ke
Bahut royenge unko hum yaad kar ke

Are o mere dil ke dushman zamane
Tujhe kaya mila mujh ko barabad kar ke
Bahut royenge unko hum yaad kar ke
Chale dil ki duniya jo barabad kar ke
Bahut royenge unko hum yaad kar ke

Khushi de ke takdeer ne de diya gham
Kiya qaid kyun mujhko aazaad kar ke
Bahut royenge unko hum yaad kar ke
Chale dil ki duniya jo barabad kar ke
Bahut royenge unko hum yaad kar ke.


Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top