Dil Hamara Hua Hai Lyrics

Dil Hamara Hua Hai Lyrics Lyrics

“Dil Hamara Hua Hai” Song Details:

Movie: Albela (2001)
Singer(s): Alka Yagnik, Hariharan
Lyricist(s): Sameer
Composer(s): Jatin Pandit, Lalit Pandit
Music Director(s): Jatin Pandit, Lalit Pandit
Genre(s): Love
Director(s): Deepak Sareen
Music Label: © Tips Music
Starring: Govinda, Aishwarya Rai, Jackie Shroff, Namrata Shirodkar, Saeed Jaffrey
Release on: 20th April, 2001

Dil hamaara hua hai kisi ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka
Kaisa aalam hai yeh bekhudi ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka

Dil hamaara hua hai kisi ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka
Kaisa aalam hai yeh bekhudi ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka
Dil hamaara hua hai kisi ka

Hum paraaye hue ek mulaaqaat mein
Baat aage badhi baat hi baat mein
Hum paraaye hue ek mulaaqaat mein
Baat aage badhi baat hi baat mein
Bekhabar ho gaye jab mili yeh nazar
Jaan aur dil pe hua hai yeh kaisa asar
Rukh badalne laga zindagi ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka
Dil hamaara hua hai kisi ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka
Dil hamaara hua hai kisi ka

Unse jab tak hamein yun mohabbat na thi
Itni duniya kabhi khoobsurat na thi
Unse jab tak hamein yun mohabbat na thi
Itni duniya kabhi khoobsurat na thi
Dil ka aana kahe, dil ka jaana kahe
Aisi deewangi ko bhalaa kya kahe
Rang hai har taraf aashiqui ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka
Dil hamaara hua hai kisi ka
Pyaar shaayad hai naam isi ka
Dil hamaara hua hai kisi ka
Dil hamaara hua hai kisi ka.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top