Dil Hi To Hai Lyrics

Dil Hi To Hai Lyrics Lyrics

“Dil Hi To Hai” Song Details:

Album/Label: Someone Somewhere (1990)
Singer(s): Jagjit Singh
Lyricist(s): Mirza Ghalib
Composer(s): Jagjit Singh
Music Director(s): Jagjit Singh
Genre(s): Ghazal
Music Label: © HMV Music

Dil hee to hai na sang-o-khisht
Dard se bhar na aaye kyon
Royenge ham hazaar baar,
Koi hamein sataaye kyon
Dil hee to hai na sang-o-khisht
Dard se bhar na aaye kyon

Dair naheen, haram naheen,
Dar naheen, aastaan naheen
Dair naheen, haram naheen,
Dar naheen, aastaan naheen
Baithe hain rehguzar pe ham,
Ghair hamein uthaaye kyon
Dil hee to hai na sang-o-khisht
Dard se bhar na aaye kyon

Haan wo naheen khudaparast,
Jaao wo bewafa sahee
Haan wo naheen khudaparast,
Jaao wo bewafa sahee
Jisko ho deen-o-dil azeez,
Uskee galee mein jaaye kyon
Dil hee to hai na sang-o-khisht
Dard se bhar na aaye kyon

Ghalib-e-khasta ke baghair
Kaun se kaam band hain
Ghalib-e-khasta ke baghair
Kaun se kaam band hain
Roiye zaar-zaar kya,
Keejiye haay-haay kyon
Dil hee to hai na sang-o-khisht
Dard se bhar na aaye kyon.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top