Dil Kee Baaton Lyrics

Dil Kee Baaton Lyrics Lyrics

“Dil Kee Baaton” Song Details:

Album/Label: Sawaal
Singer(s): Aaroh (Band)
Lyricist(s): Aaroh (Band)
Composer(s): Aaroh (Band)
Music Director(s): Aaroh (Band)
Release on: 21st September, 2002

Dil kee baaton ko koyi na jaanay
Ek mohabbat kay so afsanay
Kabhi maan jaayay
Kabhi rooth jaayay kar kay bahanay
Aaghaz kya anjam kya koyi na jaanay

Who dikhlatin hain sapnay suhanay
Baatein aur waaday saray puranay
Hum jantay pehchantay phir bhi deewanay
Kya mangay who chahay who kya
Hum sab anjanay

Un kay dil ko paa kar
Samjhay jeet gayay par haray
Dil kay baad ka chakar
Yaaron jeenay naa day maray
Day do zameen aur aasman say
Laa do naa taaray
Unn kay dil ko paa kar
Kabhi maan jaayay
Kabhi rooth jaayay kar kay bahanay
Aaghaz kya anjam kya koyi na jaanay

Who dikhlatin hain sapnay suhanay
Baatein aur waaday saray puranay
Hum jantay pehchantay phir bhi deewanay
Kya mangay who chahay who kya
Hum sab anjanay

Sochoon main yeh baar baar kay
Tod doon zanjeerain
Dil kehta hai aur kuch par
Akal kahay kuch cheezain
Phir yeh ada phir who ada
Phir dil tujh par fidaa
Sochoon main yeh baar baar kay
Tod doon zanjeerain
Kabhi maan jaayay
Kabhi rooth jaayay kar kay bahanay
Aaghaz kya anjam kya koyi na jaanay


Dil kee baaton ko koyi naa jaanay
Ek mohabbat kay so afsanay
Kabhi maan jaayay
Kabhi rooth jaayay kar kay bahanay
Aaghaz kya anjam kya koyi na jaanay.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top