Duniya Ke Sitam Ka Lyrics

“Duniya Ke Sitam Ka” Song Details:

Movie: Shair
Singer(s): Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)
Lyricist(s): Shakeel Badayuni
Composer(s): Ghulam Mohammad
Music Director(s): Ghulam Mohammad
Genre(s): Sad
Director(s): Chawla
Music Label: © Saregama
Starring: Dev Anand, Suraiya, Agha, Shyama, Murad, Dulari

Duniya ke sitam ka
Koi shikwa na karenge
Ruthi huyi kismat se
Magar itna kahenge
O kismat tera ho bura
O kismat tera ho bura
Kyun dil ke
Kyun dil ke tukde kar diye
Dil ke tukde kar diye
Dil ke tukde dil ke tukde
Dil ke tukde kar diye

Iss dil per jo beeti hai
Arre kisko sunaayen
Thhi apne liye saare
Zamane ki jafaye
Badle mein bhalaai ke
Mili hamko buraai
Ujde huye armaan
Bhi dete hai duhaai
O kismat tera ho bura
O kismat tera ho bura
Kyun dil ke
Kyun dil ke tukde kar diye
Dil ke tukde kar diye
Dil ke tukde dil ke tukde
Dil ke tukde kar diye

Thhi kisko khabar dil ki kali
Khil na sakegi honi na khataa
Phir bhi sazaa hamko milegi ee
Jab tut gaya dard
Bhare dil ka sahaara
Barbaad ummido ne
Yahi ro ke pukaara
O kismat tera ho bura
O kismat tera ho bura
Kyun dil ke
Kyun dil ke tukde kar diye
Dil ke tukde kar diye
Dil ke tukde dil ke tukde
Dil ke tukde kar diye.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top