Hoon Bekraar Lyrics

Hoon Bekraar Lyrics Lyrics

“Hoon Bekraar” Song Details:

Movie: Aakhir Kab Tak
Singer(s): Abid Jamal, Mamta Singh
Composer(s): Jayant Aryan
Music Director(s): Jayant Aryan
Genre(s): Love
Director(s): Mithilesh Avinash
Music Label: © Shotformats-PNJ Films
Starring: Manisha Singh, Vinay Rana, Ramsujan singh, Vinod Mishra, Aditya mohan, Pratibha Pandey, Mehnaz shroff
Release on: 14th October, 2016

Hoon bekraar hua tumse pyaar
Kahe baar baar jiya
Gayi dil main haar nahi iftiyaar
Tera intezar kiya

Tujhko kya khabar
Kya hua hai asar
Kaisa jaadu kar diya

Hoon bekraar hua tumse pyaar
Kahe baar baar jiya
Gayi dil main haar nahi iftiyaar
Tera intezar kiya

Choo ke jo aaye tere labon ko
Saanson mein ghulne lagi hawa
Koyi kahani dil ki kahani
Kahne lagi mahki fiza
Bechainiyan betaabiyaan
Har pal kahe tumse

Todo bhi ye khamoshiyan
Kuch toh kaho humse
Hai tera khumar
Kho gya karaar
Kaisa bekraar piya
Mujhe aitbaar
Haan tabhi to yaar hai tera shumar piya


Tune na jaana rishta anjaana
Gujra tu itne kareeb se
Baatein zaroori fir bhi adhoori
Rishtey hain kitne ajeeb se
Sang tere hoke bhi hum
Paa na sake nazdeekiyaan
Khwabon mein tum aaye magar
Tumse bahut hain dooriyan
Tera hi khyaal kahu dil ka haal
Pooche baar baar piya

Tu hai bemisaal
Mujhe yu naa taal
Maine dil nisaar kiya

Tujhko kya khabar
Kya hua hai asar
Kaisa jaadu kar diya

Hoon bekraar hua tumse pyaar
Kahe baar baar jiya
Gayi dil main haar nahi iftiyaar
Tera intezar kiya.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top