Jagte Rahe Lyrics

Jagte Rahe Lyrics Lyrics

“Jagte Rahe” Song Details:

Album/Label: Chahat (1989)
Singer(s): Ali Haider
Release on: 1st September, 1989

Tere bagair teri kasam jagte rahe
Aankhon mein kaat di
Shab-e-ghum jagte rahe
Tere bagair teri kasam jagte rahe
Aankhon mein kaat di
Shab-e-ghum jagte rahe

Iss khauff se ke aake woh
Wapas chale na jaaein
Iss khauff se ke aake woh
Wapas chalein na jaaein
Waade ka unke
Rakhke bharam jagte rahe
Aankhon mein kaat di
Shab-e-ghum jagte rahe

Aaraam se kabhi shab-e-ghum
So nahin sake so nahin sake
Aaraam se kabhi shab-e-ghum
So nahin sake so nahin sake
Gin gin ke unke
Lutf-o-karam jagte rahe
Aankhon mein kaat di
Shab-e-ghum jagte rahe

Manzil pe jaake hum to
Aaraam so gaye
Manzil pe jaake hum to
Aaraam so gaye
Raste mein apne
Naqs-e-kadam jagte rahe
Aankhon mein kaat di
Shab-e-ghum jagte rahe
Tere bagair teri kasam jagte rahe
Aankhon mein kaat di
Shab-e-ghum jagte rahe
Jagte rahe jagte rahe jagte rahe.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top