Jhuki Aayi Re Badariya Lyrics

Jhuki Aayi Re Badariya Lyrics Lyrics

“Jhuki Aayi Re Badariya” Song Details:

Movie: Bhabi (1938)
Singer(s): Renuka Devi
Lyricist(s): J S Kashyap
Composer(s): Saraswati Devi
Music Director(s): Saraswati Devi
Genre(s): Playful
Director(s): Franz Osten
Music Label: © Saregama
Starring: Renuka Devi, Nazir
Release on: 1st January, 1938

Jhuki aayi re badariya saawan ki
Jhuki aayi re badariya saawan ki
Saawan ki man-bhaawan ki
Saawan ki man-bhaawan ki
Jhuki aayi re badariya saawan ki
Jhuki aayi re badariya

Nanhi-nanhi boondiyaan mehra barse
Nanhi-nanhi boondiyaan mehra barse
Pee pee papeeha raar kare
Aali jaaye kaho peeyaa aawan ki
Jhuki aayi re badariya saawan ki
Jhuki aayi re badariya

Sun re hathhi papeeha paapee
Pee ko naam na le
Sun paawe koi birha ki maari pee ka
Ye do nainaa kahoo na maane
Ye do nainaa kahoo na maane
Nadiyaa bahe jaise saawan ki
Koi jaaye kaho peeyaa aawan ki
Jhuki aayi re badariya saawan ki
Jhuki aayi re badariya

Saawan ki man bhaawan ki
Jhuki aayi re badariya saawan ki
Jhuki aayi re badariya.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top