Jis Din Tum (Title) Lyrics

Jis Din Tum (Title) Lyrics Lyrics

“Jis Din Tum (Title)” Song Details:

Album/Label: Jis Din Tum (2020)
Singer(s): Soham Naik
Lyricist(s): Kunaal Vermaa
Composer(s): Ketiaba Bejarote
Music Director(s): Ketiaba Bejarote
Genre(s): Love
Director(s): Sidhaant Sachdev
Music Label: © Times Music
Starring: Vatsal Sheth, Garima Yadav
Release on: 31st January, 2020

O…

Kab se hai ruke aake
Baadal in aankhon pe
Uss roz riha honge
Jis din tum aaoge

Chhaa jaaye khaamoshi
Duniya ke sawaalon pe
Sab dard zubaan honge
Jis din tum aaoge

O o o o… o o…

Tere hisse ki chaahat maine
Seene mein chhupa ke rakhi hai
Ik cheez jise dil kehte hai
Woh sab se bacha ke rakhi hai


Tere hisse ki chaahat maine
Seene mein chhupa ke rakhi hai
Ik cheez jise dil kehte hai
Woh sab se bacha ke rakhi hai

Jab tak hain saansein
Kisi aur ka hoga na
Haq tera hai mujhpe
Jab tak tum chaahoge

Chhaa jaaye khaamoshi
Duniya ke sawaalon pe
Sab dard zubaan honge
Jis din tum aaoge

Akhiyaan nu meri main ki kawaan
Hanju mereyan te hassdi dooriyan
Main ki karaan, ve main ki karaan
Bol de tu zara…

O o o…

Khwabon mein hai jo duniya
Wo sach mein basa lenge
Hum khud se riha honge
Jis din tum aaoge.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top