“Jo Bhoolen Hai Tujhe Ae Dil” Song Details:
| Movie: | Balam |
| Singer(s): | Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya) |
| Lyricist(s): | Qamar Jalalabadi |
| Composer(s): | Bhagatram Batish, Husnlal Batish |
| Music Director(s): | Bhagatram Batish, Husnlal Batish |
| Genre(s): | Sad |
| Director(s): | Homi Wadia |
| Music Label: | © Saregama |
| Starring: | Agha, Jayant, Masood, Nigar Sultana, Suraiya, Wasti |
Jo bhoolen hai tujhe ae dil
Unhe tu yaad karta ja
Pasand aaye unhe fariyad
To fariyaad karta ja
Jo bhoolen hai tujhe ae dil
Unhe tu yaad karta ja
Milaye the kabhi jo hath
Tune mere hatho se
Milaye the kabhi jo hath
Tune mere hatho se
Mere hatho se
Unhi hatho se ab duniya meri
Barbad karta ja
Unhi hatho se ab duniya meri
Barbad karta ja
Jo bhoolen hai tujhe ae dil
Unhe tu yaad karta ja
Chalo tu ruth kar
Ye zindagi ek qaid hai balam
Chalo tu ruth kar
Ye zindagi ek qaid hai balam
Qaid hai balam
Tu mujhko zindagi ki qaid se
Aazad karta ja
Tu mujhko zindagi ki qaid se
Aazad karta ja
Jo bhoolen hai tujhe ae dil
Unhe tu yaad karta ja.


