Kaam Karo Bhai Kaam Karo Lyrics

Kaam Karo Bhai Kaam Karo Lyrics Lyrics

“Kaam Karo Bhai Kaam Karo” Song Details:

Movie: Jeet (1949)
Singer(s): Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya), Vinod
Lyricist(s): Prem Dhawan
Composer(s): Shyam Babu Pathak
Music Director(s): Shyam Babu Pathak
Genre(s): Playful
Director(s): Mohan Sinha
Music Label: © Saregama
Starring: Dev Anand, Suraiya, Kanhaiya Lal, Durga Khote
Release on: 24th August, 1949

Kaam karo bhai kaam karo
Tum jag mein apna naam karo
Kaam karo bhai kaam karo
Tum jag mein apna naam karo

Aao apna jeewan
Badlen badal rahaa sansaar
Aao apna jeewan
Badlen badal rahaa sansaar
Na koyi bekaar rahe
Aur na koyi laachaar
Na koyi bekaar rahe
Aur na koyi laachaar

Kaam karo bhai kaam karo
Tum jag mein apna naam karo
Kaam karo bhai kaam karo
Tum jag mein apna naam karo

Kaam hai apni shakti
Bhaiyaa kaam hai apni bhakti
Kaam hai apni shakti
Bhaiyaa kaam hai apni bhakti
Iske bal pe apni bigdi
Kismat hai ban sakti
Iske bal pe apni bigdi
Kismat hai ban sakti

Kaam karo bhai kaam karo
Tum jag mein apna naam karo
Kaam karo bhai kaam karo
Tum jag mein apna naam karo


Reet puraani chhodo chhodo
Jhoothe bandhan todo
Reet puraani chhodo chhodo
Jhoothe bandhan todo
Naye samay se naye
Jagat se apna naataa jodo
Naye samay se naye
Jagat se apna naataa jodo

Kaam karo bhai kaam karo
Tum jag mein apna naam karo
Kaam karo bhai kaam karo
Tum jag mein apna naam karo

Aao ek ho jaayen hum
Aapas ke bhed mitaayen
Aao ek ho jaayen hum
Aapas ke bhed mitaayen
Gair nahin hai koyi ghar
Ghar ye sandesh sunaayen
Aao ek ho jaayen hum
Aapas ke bhed mitaayen

Kaam karo bhai kaam karo
Tum jag mein apna naam karo
Kaam karo bhai kaam karo
Tum jag mein apna naam karo.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top