Kabhi Khushiyon Ke Lyrics

Kabhi Khushiyon Ke Lyrics Lyrics

“Kabhi Khushiyon Ke” Song Details:

Movie: Tarang (1952)
Singer(s): Rajkumari Dubey
Lyricist(s): Ishwar Chandra Kapoor
Composer(s): Chitragupta Shrivastava
Music Director(s): Chitragupta Shrivastava
Genre(s): Sad
Music Label: © Saregama
Starring: Ajit, Manorama, Munawwar Sultana

Kabhi khushiyon ke nagme hai
Kabhi gham ka tarana hai
Yahi dasture duniya hai
Yahi darde jamana hai
Kabhi khushiyon ke nagme hai
Kabhi gham ka tarana hai

Samajh kuch bhi nahi aata
Bas itna hum samajhte hai
Samajha kuch bhi nahi aata
Bas itna hum samajhte hai
Bahana phir hakikat hai
Hakikat bhi bahana hai
Yahi dasture duniya hai
Yahi darde jamana hai

Suno is zindagi ki dasta
Tumko sunate hai
Suno is zindagi ki dasta
Tumko sunate hai
Hai dil mein dard ka toofa
Labo ko muskurana hai
Yahi dasture duniya hai
Yahi darde jamana hai

Main nahi majhi sahi
Lekin mujhe ulfat hai is dar se
Main nahi majhi sahi
Lekin mujhe ulfat hai is dar se
Mujhe har ek kimat par
Tere ghar ko basana hai
Yahi dasture duniya hai
Yahi darde jamana hai
Kabhi khushiyon ke nagme hai
Kabhi gham ka tarana hai.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top