Kabhi Yun Bhi To Ho Lyrics

Kabhi Yun Bhi To Ho Lyrics Lyrics

“Kabhi Yun Bhi To Ho” Song Details:

Album/Label: Silsilay (1998)
Singer(s): Jagjit Singh
Lyricist(s): Javed Akhtar
Composer(s): Jagjit Singh
Music Director(s): Jagjit Singh
Genre(s): Ghazal
Music Label: © HMV Music

Kabhi yun bhi to ho
Kabhi yun bhi to ho
Dariya ka saahil ho,
Poore chaand ki raat ho
Aur tum aao,
Kabhi yoon bhi to ho
Kabhi yoon bhi to ho

Pariyon ki mehfil ho,
Koi tumhari baat ho
Aur tum aao,
Kabhi yoon bhi to ho
Kabhi yoon bhi to ho

Kabhi yoon bhi to ho
Ye naram mulaayam
Thandi hawaayen,
Jab ghar se tumhaare guzre
Tumhari khushbo churaayen
Mere ghar le aayen,
Kabhi yoon bhi to ho
Kabhi yoon bhi to ho
Kabhi yoon bhi to ho

Sooni har mehfil ho,
Koi na mere saath ho
Aur tum aao,
Kabhi yoon bhi to ho
Kabhi yoon bhi to ho

Kabhi yoon bhi to ho
Ye baadal aise toot ke barse,
Mere dil ki tarah milne ko,
Tumhara dil bhi tarse,
Tum niklo ghar se,
Kabhi yoon bhi to ho
Kabhi yoon bhi to ho


Tanhaai ho dil do, boonde hon
Barsaat ho aur tum aao
Kabhi yoon bhi to ho
Kabhi yoon bhi to ho

Dariya ka saahil ho,
Poore chaand ki raat ho
Aur tum aao,
Kabhi yoon bhi to ho
Kabhi yoon bhi to ho.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top