Khaaq Mein Mila Ke Lyrics

“Khaaq Mein Mila Ke” Song Details:

Movie: Malik (1958)
Singer(s): Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)
Lyricist(s): Shakeel Badayuni
Composer(s): Ghulam Mohammad
Music Director(s): Ghulam Mohammad
Genre(s): Playful
Director(s): S.M. Yusuf
Music Label: © Saregama
Starring: Talat Mahmood, Suraiya, Jeevan, Jagdeep, Lalita Pawar, Prabhudayall Radhakrishanan, Mukri, Badri Prasad, Tun Tun, Kumar, Shalini, Paro, Roopmala, Baby Shashi

Gareebon ke liye ye zindagi
Jhoothhi kahaani hai
Khaaq mein mila ke
Hamen ban gaye anjaan
Arre waah re bhagwaan
Waah re bhagwaan
Arre waah re bhagwaan
Khaaq mein mila ke
Hamen ban gaye anjaan
Arre waah re bhagwaan
Arre waah re bhagwaan

Ham kaash jahaan mein
Tere paida hi na hotey
Ham kaash jahaan mein
Tere paida hi na hotey
Milta na hamen gham
Na yoon taqdeer ko rotey
Khush hoke na tum
Naiyya gareebon ki dubote
Ik akeli jaan meri
Gham ka ye toofaan
Arre waah re bhagwaan
Waah re bhagwaan
Arre waah re bhagwaan
Khaaq mein mila ke
Hamen ban gaye anjaan
Arre waah re bhagwaan
Arre waah re bhagwaan

Main tere siwaa
Main tere siwaa
Gair se shiqwaa na karoongi
Dukh dard ka afsaana
Tujhi se main kahoongi
Tadpoongi magar tujhko
Bhi tadpa ke rahoongi ee
Dil hi toot jaaye to
Phir kya kare insaan
Arre waah re bhagwaan
Waah re bhagwaan
Arre waah re bhagwaan
Khaaq mein mila ke
Hamen ban gaye anjaan
Arre waah re bhagwaan
Arre waah re bhagwaan.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top