“Koi Humdum Na Raha” Song Details:
| Movie: | Jeevan Naiya (1936) |
| Singer(s): | Ashok Kumar |
| Lyricist(s): | J S Kashyap |
| Composer(s): | Saraswati Devi |
| Music Director(s): | Saraswati Devi |
| Genre(s): | Playful |
| Director(s): | Franz Osten |
| Music Label: | © Saregama |
| Starring: | Devika Rani, Ashok Kumar |
| Release on: | 1st January, 1936 |
Koi humdum na rahaa
Koi sahaaraa na rahaa
Koi humdum na rahaa
Koi sahaaraa na rahaa
Hum kisi ke na rahey
Koi hamaaraa na rahaa
Hum kisi ke na rahey
Koi hamaaraa na rahaa
Mil gaye khaak mein jab
Hasrat aur armaan dil ke
Apni aahon ke ilaawaa
Koi chaaraa na rahaa
Koi humdum na rahaa
Koi sahaaraa na rahaa
Kaisa waada hai wo ab
Hizr ki khwaahish hai tumhen
Ab na wo sang rahaa
Ab woh sahaaraa na rahaa
Koi humdum na rahaa
Koi sahaaraa na rahaa.


