Main Hasu Ke Ispe Roun Lyrics

Main Hasu Ke Ispe Roun Lyrics Lyrics

“Main Hasu Ke Ispe Roun” Song Details:

Movie: Maa (1960)
Singer(s): Kishore Kumar
Lyricist(s): Majrooh Sultanpuri
Composer(s): Chitragupta Shrivastava
Music Director(s): Chitragupta Shrivastava
Genre(s): Playful
Director(s): P.L.Santoshi
Starring: Balraj Sahni, Shyama, Maruti, Daisy Irani, Sheela Kashmiri, Rani, Naranjan Sharma
Release on: 1st January, 1960

Main hasu ke ispe roun
Hai ajeeb ye nazara
Tere aansuon mein chamka
Mere pyaar kaa sitaara
Main hasu ke ispe roun
Hai ajeeb ye nazara

Meri khaatir chashm e jana
Jaane kya tujhpe beeti
Meri khaatir chashm e jana
Jaane kya tujhpe beeti
Yehi sochun aaj dil ki
Baazi kyun maine jeeti
Mujhe dukh hai ki main kyun na
Wahi baazi phir se haara
Main hasu ke ispe roun
Hai ajeeb ye nazara

Mere gham mein rooh jiski
Rehti ho itni pyaasi
Mere gham mein rooh jiski
Rehti ho itni pyaasi
Nazron se chum loon main
Uss chehre ki udaasi
Mera itna payaam usko
Koi pahunchaa de khudaara
Main hasu ke ispe roun
Hai ajeeb ye nazara
Tere aansuon mein chamka
Mere pyaar kaa sitaara
Main hasu ke ispe roun
Hai ajeeb ye nazara.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top