Naseeb Hoga Mera Meharbaan Lyrics

Naseeb Hoga Mera Meharbaan Lyrics Lyrics

“Naseeb Hoga Mera Meharbaan” Song Details:

Movie: Chalis Din
Singer(s): Asha Bhosle, Manna Dey
Lyricist(s): Kaifi Azmi
Composer(s): Babul Bose
Music Director(s): Babul Bose
Genre(s): Playful
Music Label: © Saregama
Release on: 1st January, 1959

Naseeb hoga mera
Meharbaan kabhi na kabhi
Haaye kabhi na kabhi
Milega us ke kadam ka
Nishaan kabhi na kabhi
Haaye kabhi na kabhi
Naseeb hoga mera
Meharbaan kabhi na kabhi
Haaye kabhi na kabhi

Rahaa jo chhup ke jawaan
Dil mein aarzoo ki tarah
Rahaa jo chhup ke jawaan
Dil mein aarzoo ki tarah
Chalaa gayaa jo
Gareebon ki aabroo ki tarah
Ho chalaa gayaa jo
Gareebon ki aabroo ki tarah
Nazar to aayegaa wo
Mehmaan kabhi na kabhi
Naseeb hoga mera
Meharbaan kabhi na kabhi
Haaye kabhi na kabhi
Milega us ke kadam ka
Nishaan kabhi na kabhi
Haaye kabhi na kabhi

Har ik sitam ka wafaaye
Jawaab maangengi
Har ik sitam ka wafaaye
Jawaab maangengi
Har ek boond ka aankhen
Hisaab maangengi
Ho har ek boond ka
Aankhen hisaab maangengi
Lahoo pukaarega ban ke
Zabaan kabhi na kabhi
Naseeb hoga mera
Meharbaan kabhi na kabhi
Haaye kabhi na kabhi
Milega us ke kadam ka
Nishaan kabhi na kabhi
Haaye kabhi na kabhi

Luti luti si tamannaa
Jo haath utthaayegi
Luti luti si tamannaa
Jo haath utthaayegi
Chamakte chaand
Sitaaron ko tod laayegi
Ho chamakte chaand
Sitaaron ko tod laayegi
Galey milenge zameen
Aasmaan kabhi na kabhi
Naseeb hoga mera
Meharbaan kabhi na kabhi
Haaye kabhi na kabhi
Milega us ke kadam ka
Nishaan kabhi na kabhi
Haaye kabhi na kabhi
Naseeb hoga mera
Meharbaan kabhi na kabhi
Haaye kabhi na kabhi.


Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top