Pehli Nazar Ka Lyrics

Pehli Nazar Ka Lyrics Lyrics

“Pehli Nazar Ka” Song Details:

Album/Label: Fida (2000)
Singer(s): Nirmal Udhas
Lyricist(s): Payam Sayeedi
Composer(s): Nirmal Udhas
Music Director(s): Nirmal Udhas
Genre(s): Ghazal
Music Label: © Tips Music
Starring: Nirmal Udhas

Pehli nazar ka tumne pehli nazar ka humne
Pehli nazar ka tumne pehli nazar ka humne
Pehli nazar ka tumne pehli nazar ka humne
Jis din se teer khaya
Na tumko neend aayi na humko chain aaya
Na tumko neend aayi na humko chain aaya

Itna hain yaad humko mehfil mein hum mile the
Kuchh tum bhi manchali thi kuchh hum bhi manchale the
Itna hain yaad humko mehfil mein hum mile the
Kuchh tum bhi manchali thi kuchh hum bhi manchale the
Tumne kiye ishare humne kiye ishare
Tumne kiye ishare humne kiye ishare
Sab haale dil bataya
Na tumko neend aayi na humko chain aaya
Na tumko neend aayi na humko chain aaya

Ab to teri gali ke lagate hain roj phere
Aye jaan zindagaani kya shyam kya sawere
Ab to teri gali ke lagate hain roj phere
Aye jaan zindagaani kya shyam kya sawere
Tum bhi udhar ko tadpe hum bhi idhar ko tadpe
Tum bhi udhar ko tadpe hum bhi idhar ko tadpe
Ye darde dil badhaya
Na tumko neend aayi na humko chain aaya
Na tumko neend aayi na humko chain aaya

Dono taraf ki dhadkan dono taraf jawaani
Hum dono solah satraah ye umra hai suhaani
Dono taraf ki dhadkan dono taraf jawaani
Hum dono solah satraah ye umra hai suhaani
Bharte the tum bhi aahe bharte the hum bhi aahe
Bharte the tum bhi aahe bharte the hum bhi aahe
Ek rog sa lagaya
Na tumko neend aayi na humko chain aaya
Na tumko neend aayi na humko chain aaya

Dil bara ada ada par deewana ho gaye hum
Jalwa tumhara dekha aur tum mein kho gaye hum
Dil bara ada ada par deewana ho gaye hum
Jalwa tumhara dekha aur tum mein kho gaye hum
Kuchh tum bhi mushkurae kuchh hum bhi bhi mushkurae
Kuchh tum bhi mushkurae kuchh hum bhi bhi mushkurae
Jaadu koi chalaya
Na tumko neend aayi na humko chain aaya
Na tumko neend aayi na humko chain aaya


Pehli nazar ka tumne pehli nazar ka humne
Pehli nazar ka tumne pehli nazar ka humne
Jis din se teer khaya
Na tumko neend aayi na humko chain aaya
Na tumko neend aayi na humko chain aaya.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top