Pyaar Deewaana Bane Kyun Lyrics

Pyaar Deewaana Bane Kyun Lyrics Lyrics

“Pyaar Deewaana Bane Kyun” Song Details:

Movie: Pyaar Bana Afsaana (1960)
Singer(s): Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Lyricist(s): Aziz Mohammad Khan (Aziz Qaisi)
Composer(s): Iqbal Qureshi
Music Director(s): Iqbal Qureshi
Genre(s): Playful
Music Label: © Saregama
Release on: 1st January, 1960

Pyaar deewaana baney kyun jaane na
Pyaar deewaana baney kyun jaane na
Kaise tu jaane na dil mera maane na
Tu ne deewaana kiya duniya se begaana kiya
Tu ne deewaana kiya duniya se begaana kiya
Pyaar deewaana baney kyun jaane na
Pyaar deewaana baney kyun jaane na

Khoi khoi phirun main deewaani
Dil ki keh na sakoon main kahaani
Dil ka dard banaa pyaar ka chhupaana
Haaye mohabbat haaye re zamaana
Dil ka dard banaa pyaar ka chhupaana
Pyaar deewaana baney kyun jaane na
Pyaar deewaana baney kyun haan jaane na

Tere dam se jawaan hain bahaaren
Tujh ko dil ki dhadkanen pukaaren
Teri preet bani jeene ka bahaana
Haaye mohabbat haaye re zamaana
Teri preet bani jeene ka bahaana
Pyaar deewaana baney kyun jaane na
Pyaar deewaana baney kyun jaane na

Jaane kaisa nasha hai suhaana
Lab pe jhoom uthha hai taraana
Nain se nain kahe pyaar ka fasaana
Haaye mohabbat haaye re zamaana
Nain se nain kahe pyaar ka fasaana
Pyaar deewaana baney kyun jaane na
Pyaar deewaana baney kyun jaane na
Kaise tu jaane na dil mera maane na
Tu ne deewaana kiya duniya se begaana kiya
Tu ne deewaana kiya duniya se begaana kiya
Pyaar deewaana baney kyun jaane na
Pyaar deewaana baney kyun jaane na.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top