Pyaar Hai Pyaar Lyrics

Pyaar Hai Pyaar Lyrics Lyrics

“Pyaar Hai Pyaar” Song Details:

Movie: Agni Pareeksha
Singer(s): Asha Bhosle
Lyricist(s): Yogesh Gaud
Composer(s): Salil Chowdhury
Music Director(s): Salil Chowdhury
Genre(s): Playful
Director(s): Kamal Majumdar
Music Label: © Saregama
Starring: Amol Palekar, Parikshat Sahni, Rameshwari
Release on: 21st March, 1981

pyaar hai pyaar aur kuchh bhi nahi
raaz jiska na koi jaana hai
koi samajha ise haqiqat hai
koi samajha ise fasana hai
pyaar hai pyaar aur kuchh bhi nahi

pyaar khud raasta hai manzil bhi
pyaar tufaan bhi hai saahil bhi
pyaar khud raasta hai manzil bhi
pyaar tufaan bhi hai saahil bhi
pyaar khushiyo ka ik nagma hai
dard ka bhi yahi taraana hai
pyaar hai pyaar aur kuchh bhi nahi

pyaar pahli ghata hai saawan ki
pyaar pahli fiza hai gulshan ki
pyaar pahli ghata hai saawan ki
pyaar pahli fiza hai gulshan ki
iska aagaj khubsurat hai
iska anjaam bhi suhana hai
pyaar hai pyaar aur kuchh bhi nahi

pyaar aasaan bhi hai mushkil bhi
pyaar masum bhi hai kaatil bhi
pyaar aasaan bhi hai mushkil bhi
pyaar masum bhi hai kaatil bhi
pyaar ek imtiha hai khudko
aajma le jo le aajmana hai
pyaar hai pyaar aur kuchh bhi nahi
raaz jiska na koi jaana hai
pyaar hai pyaar aur kuchh bhi nahi


Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top