“Suhani Chandni Raatein” Song Details:
| Movie: | Mukti |
| Singer(s): | Mukesh Chand Mathur (Mukesh) |
| Lyricist(s): | Anand Bakshi |
| Composer(s): | R. D. Burman |
| Music Director(s): | R. D. Burman |
| Genre(s): | Sad |
| Director(s): | Raj Tilak |
| Music Label: | © Saregama |
| Starring: | Shashi Kapoor, Sanjeev Kumar, Vidya Sinha, Mithun Chakraborty |
| Release on: | 14th August, 1977 |
Suhani chandni raatein
Hame sone nahin deti
Suhani chandni raatein
Hame sone nahin deti
Tumhari pyaar ki baatein
Hame sone nahin deti
Suhani chandni raatein
Hame sone nahin deti
Tumhari reshami zulfon
Mein dil ke phool khilate the
Tumhari reshami zulfon
Mein dil ke phool khilate the
Kahi phoolon ke mausam me
Kabhi hum tum bhi milate the
Purani wo mulakatein
Hame sone nahin deti
Tumhari pyaar ki baatein
Hame sone nahin deti
Suhani chandni raatein
Hame sone nahin deti
Kahi aisa na ho lag jaaye
Dil mein aag pani se
Kahi aisa na ho lag jaaye
Dil mein aag pani se
Badal le raasata apana
Ghataayen meharabani se
Ke yaadon ki ye barasaate
Hame sone nahin deti
Tumhari pyaar ki baatein
Hame sone nahin deti
Suhani chandni raatein
Hame sone nahin deti.


