Tod Gaye Haay Tod Gaye Lyrics

Tod Gaye Haay Tod Gaye Lyrics Lyrics

“Tod Gaye Haay Tod Gaye” Song Details:

Movie: Khel (1950)
Singer(s): Meena Kapoor
Lyricist(s): Shams Azimabadi
Composer(s): Sajjad Hussain
Music Director(s): Sajjad Hussain
Genre(s): Sad
Director(s): S.M. Nawab
Music Label: © Saregama
Starring: Dev Anand, Nargis Dutt, Murad, Neelam, Nigar Sultana

Tod gaye hay tod gaye
Arman bhara dil tod gaye
Tod gaye hay tod gaye
Arman bhara dil tod gaye
Samjhe thhey sahara ham jinko
Majhdhar mein hamko chhod gaye
Tod gaye hay tod gaye
Arman bhara dil tod gaye

Kya hal sunayein ham apna
Ab kaun mitaye gham apna
Kya hal sunayein ham apna
Ab kaun mitaye gham apna
Taqdeer banane wale hi
Khud mera muqaddar phod gaye
Tod gaye hay tod gaye
Arman bhara dil tod gaye

Duniya mein koyi apna na raha
Wo pyar bhara sapna na raha
Duniya mein koyi apna na raha
Wo pyar bhara sapna na raha
Ulfat ka sila itna sa mila
Hamko wo akela chhod gaye
Tod gaye hay tod gaye
Arman bhara dil tod gaye

Abad tha dil weeran hua
Ulfat ka chaman sunsan hua
Abad tha dil weeran hua
Ulfat ka chaman sunsan hua
Barbad har ek arman hua
Jis roz se wo munh mod gaye
Tod gaye hay tod gaye
Arman bhara dil tod gaye.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top