Wo Apna Bana Kar Chhod Gaye Lyrics

Wo Apna Bana Kar Chhod Gaye Lyrics Lyrics

“Wo Apna Bana Kar Chhod Gaye” Song Details:

Movie: Bachke Rahna
Singer(s): Sulochana Kadam
Lyricist(s): Ehsan Rizvi
Composer(s): Anna Saheb
Music Director(s): Anna Saheb
Genre(s): Sad
Director(s): Master Bhagwan
Music Label: © Saregama
Release on: 1st January, 1949

Wo apna bana kar chhod gaye
Saawan ki andheri raaton mein
Dil pyaar ke haatho dub gaya
Aansoo ki bhari barsaaton mein

Hum aahein na bharne paaye they
Fariyaad na karne paaye they
Taskeer na aankhon aankhon se
Shikva na jabaan pe laaye they
Dekha jo zara sa haske humein
Dekha jo zara sa haske humein
Phir aa gaye unki baaton mein

Wo apna bana kar chhod gaye
Saawan ki andheri raaton mein
Dil pyaar ke haatho dub gaya
Aansoo ki bhari barsaaton mein

Wo apna bana kar chhod gaye
Saawan ki andheri raaton mein
Dil pyaar ke haatho dub gaya
Aansoo ki bhari barsaaton mein

Chahat ne humein badnaam kiya
Majboor kiya barbaad kiya
Chahat ne humein badnaam kiya
Majboor kiya barbaad kiya
Ik tees ho thi unki dil se
Jab dil ne kisi ko yaad kiya
Aankhon se aansoo behne lage
Aankhon se aansoo behne lage
Yaa taare tute raaton mein
Wo apna bana kar chhod gaye
Saawan ki andheri raaton mein
Dil pyaar ke haatho dub gaya
Aansoo ki bhari barsaaton mein.


Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top