Ye Waada Karo Baag Mein Lyrics

Ye Waada Karo Baag Mein Lyrics Lyrics

“Ye Waada Karo Baag Mein” Song Details:

Movie: Sub Ka Saathi (1972)
Singer(s): Kishore Kumar
Lyricist(s): Rajendra Krishan
Composer(s): Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Music Director(s): Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Genre(s): Romantic
Director(s): A. Bhimsingh
Music Label: © Saregama
Starring: Vinod Khanna, Sanjay Khan, Raakhee, Om Prakash

Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge
Ye kaliyaan sharmaatin hain
Bahaarein jal jaatin hain
Yoon bahaaron ka
Bahaaron ka dil
Na jalaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge

Do ghadi baagh
Mein aapka aana
Aake phoolon ki
Rangat udaa jaana
Ho do ghadi baag
Mein aapka aana
Aake phoolon ki
Rangat udaa jaana
Zulf lahra jaati hai
Ghata si chaa jaati hai
Qayaamat aa jaati hai
Yoon qayaamat kabhi
Na uthaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge

Koyi naghma jo bhoole
Se chheda yahaan
Jaayenge bulbulon
Ke taraane kahaan
Ho koyi naghma jo
Bhoole se chheda yahaan
Jaayenge bulbulon
Ke taraane kahaan
Chalo yoon haule haule
Tarana paayal bole
Chaman ka dil na dole
Yoon chaman pe naa
Bizli giraya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge
Ye kaliyaan sharmaatin hain
Bahaarein jal jaatin hain
Yoon bahaaron ka
Bahaaron ka dil na jalaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge
Ye waada karo baag
Mein na aaya karoge.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top