Zamaana Ho Gaya Fariyaad Karte Lyrics

Zamaana Ho Gaya Fariyaad Karte Lyrics Lyrics

“Zamaana Ho Gaya Fariyaad Karte” Song Details:

Movie: Shaan (1950)
Singer(s): Mohammed Rafi
Lyricist(s): Rajendra Krishan
Composer(s): Hansraj Behl
Music Director(s): Hansraj Behl
Genre(s): Playful
Director(s): Jayant Desai
Music Label: © Saregama
Starring: Rehman, Suraiya, Amar, Cuckoo, David Abraham, Pratima Devi, D.K. Sapru

Zamaana ho gaya fariyaad karte
Zamaana ho gaya fariyaad karte
Kisi bichhde huye ko yaad karte
Zamaana ho gaya fariyaad karte

Khushi royegi dil pamal hoga
Agar ham jaante ye haal hoga
Jawaani ko na yoon barbaad karte
Zamaana ho gaya fariyaad karte

Juda duniya ne unse kar diya jab
Ye daaman aansuon se bhar diya jab
Dil-e-naashaad ko kya shaad karte
Zamaana ho gaya fariyaad karte ae

Kali ummeed ki murjhaa rahi hai
Yahi hasrat magar tadpa rahi hai
Woh aate aur dil aabaad karte
Zamaana ho gaya fariyaad karte
Kisi bichhde huye ko yaad karte
Zamaana ho gaya fariyaad karte ae.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top