Kuch To Hua Hai Lyrics

Kuch To Hua Hai Lyrics Lyrics

“Kuch To Hua Hai” Song Details:

Movie: Kal Ho Naa Ho (2003)
Singer(s): Alka Yagnik, Shaan
Lyricist(s): Javed Akhtar
Composer(s): Ehsaan Noorani, Loy Mendonsa, Shankar Mahadevan
Music Director(s): Ehsaan Noorani, Loy Mendonsa, Shankar Mahadevan
Genre(s): Love
Director(s): Nikhil Advani
Music Label: © Sony Music
Starring: Shah Rukh Khan, Preity Zinta, Saif Ali Khan, Reema Lagoo, Sushma Seth, Rani Mukerji, Sonali Bendre, Sanjay Kapoor, Satish Shah, Rajpal Yadav
Release on: 28th November, 2003

Kuch to hua hai
Kuch ho gaya hai
Kuch to hua hai
Kuch ho gaya hai

Kuch to hua hai
Kuch ho gaya hai
Do chaar din se lagta hai jaise
Sab kuch alag hai
Sab kuch naya hai
Kuch to hua hai
Kuch ho gaya hai

Cheezein mein rakh ke
Bhool jaati hoon
Bekhayaali mein gungunati hoon
Ab akele mein muskuraati hoon
Badli hui si meri ada hai
Kuch to hua hai
Kuch ho gaya hai

Pighla pighla hai dil mera jab se
Achcha rehta hain mood bhi tab se
Haske milta hoon aaj kal sab se
Khush ho gaya hai jo bhi mila hai
Kuch to hua hai
Kuch ho gaya hai


Rang chamkilay saaare lagte hai
Raah mein bhikre tare lagte hai
Phool ab zyaada pyaare lagte hai
Mehki hui si jaisi hawa hai
Kuch to hua hai
Kuch ho gaya hai

Dhyaan ab apna zyaada rakhta hoon
Sochta hoon main kaise lagta hoon
Aaina ho to dekh leta hoon
Kaise yeh chehra aisa khila hai
Kuch to hua hai
Kuch ho gaya hai

Yeh nasha jisme dono rehte hai
Yeh lehar jisme dono behte hai
Ho na ho isko pyaar kehte hai
Pyaar mila to
Dil kho gaya hai
Kuch to hua hai
Kuch ho gaya hai.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top