Tu Bemisaal Hain Lyrics

Tu Bemisaal Hain Lyrics Lyrics

“Tu Bemisaal Hain” Song Details:

Movie: Brahmachari
Singer(s): Mohammed Rafi
Lyricist(s): Hasrat Jaipuri
Composer(s): Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Director(s): Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Genre(s): Romantic
Director(s): Bhappi Sonie
Music Label: © Saregama
Starring: Shammi Kapoor, Rajshree, Pran, Mumtaz
Release on: 26th April, 1968

Tu bemisaal hai
Teri taareef kyaa karoon
Mastaanaa chaal hai teri
Taareef kyaa karoon
Aankhon se pi rahaa hoon
Mujhe hosh hi nahin
Tu bemisaal hai
Teri taareef kyaa karoon

Aankhon mein nasheela kaajal hai
Chehre pe hayaa ki laali hai
Phoolon ki mehak hai baalon mein
Phoolon ki mehak hai baalon mein
Har ek adaa matwaali hai
Tu bemisaal hai
Teri taareef kyaa karoon
Mastaanaa chaal hai
Teri taareef kyaa karoon
Aankhon se pea rahaa hoon
Mujhe hosh hi nahin
Tu bemisaal hai
Teri taareef kyaa karoon

Zulfon ko agar dekhe saawan
Saawan ko paseenaa aa jaaye
Gaalon ko agar dekhe bijli
Gaalon ko agar dekhe bijli
Baadal mein sharam se chhup jaaye
Tu bemisaal hai
Teri taareef kyaa karoon
Mastaanaa chaal hai teri
Taareef kyaa karoon
Aankhon se pi rahaa hoon
Mujhe hosh hi nahin
Tu bemisaal hai
Teri taareef kyaa karoon

Tu shokh hawaa hai gulshan ki
Daaman se lipatne aayi hai
Imaan jo le le duniya kaa
Imaan jo le le duniya kaa
Qaatil wo teri angdaayi hai
Tu bemisaal hai
Teri taareef kyaa karoon
Mastaanaa chaal hai teri
Taareef kyaa karoon
Aankhon se pi rahaa hoon
Mujhe hosh hi nahin
Tu bemisaal hai
Teri taareef kyaa karoon.

Facebook
X
LinkedIn
WhatsApp
Pinterest
Reddit
Telegram
Email
Threads
VK
Scroll to Top